Ek lamha je lene ko,
main soch ke yun thehr gayi....
Ke dard kbhi ehsas ke tarazu mein na tola ho.
Ke sham ki tanhai nai, lamho ka mela ho.
Wo asun ki bund na thi, jo adhro tak yun beh chali.
Wo barish ki mithas thi, jo jane kyu meri ankho se ek kahani keh chali.
Wo umeedo ka yun mit jana, bas yu hi nahi raha,
Wo shayd ek karz tha upar wale ka, jo mainey ada kiya.
Wo kisi ko dard mein dkhna meri bebasi ki dastan na thi,
Wo mere mushkil kal ko asan bnane ki, bas himmat thi.
Wo bar bar thokar khana, mere sabr ka imthan na tha,
Wo nai hasrato ko umeed ki ek nai raha pe lana tha.
Wo sath kisi ka na pana, nasur sa jo chubhta hai,
Wo marham hi hai shayd ane waley kal ke liye.
Ek lamha je lene ko, main soch ke yun thehr gayi..
Main khud se hi keh gayi..
"Is lamhe ko je jaungi..
Phr shayd bewajah khushi ka wo ek pal zarur paungi."

ReplyDeletePhr shayd bewajah khushi ka wo ek pal zarur paungi."
Amazing..indeed bewajah khushi paa jana..wo bhi achanak..has a different charm!!
yes :)
Delete